Search
Poetry / Sad
Khoof (Pak Old)
Har chand k sahara hay tere pyaar ka dil ko
Rahta hay magar aik ajeeb khoof sa dil ko
Woh khawab k dekha na kabhi le ura ninden
Woh dard k utha na kabhi khaa gaya dil ko
Woh ayeen to heraan woh jayeen to pareshan
Yarab koy samjhaye yeh kiya ho gaya dil ko
Rahta hay magar aik ajeeb khoof sa dil ko
Woh khawab k dekha na kabhi le ura ninden
Woh dard k utha na kabhi khaa gaya dil ko
Woh ayeen to heraan woh jayeen to pareshan
Yarab koy samjhaye yeh kiya ho gaya dil ko
·
1 Like ·
Aug 19, 2015 at 14:08
Category: sad
Poetry / General
Tere Bagair (Pak Old)
Kaise jiyen ge dard k maare tere bagair
Ab koun de ga dil ko sahare tere bagair
Tanhaiyon ki aag mere aas paas hay
Koy naheen jo pouche nazar kyun udas hay
Lagte hain phool mujhay sharare tere bagair
Tere hi dam se ghar ki faza khushguwar thi
Dur_o_diwar pe noor tha harso bahar thi
Benoor hain yeh sare nazare tere bagair
Har din hay soguwaar
Hr ek raat gham ki raat hay
Katte hain raat din teri yadoon k sath sath
Aansu bane hain gham k sitare tere bagair
Ab koun de ga dil ko sahare tere bagair
Tanhaiyon ki aag mere aas paas hay
Koy naheen jo pouche nazar kyun udas hay
Lagte hain phool mujhay sharare tere bagair
Tere hi dam se ghar ki faza khushguwar thi
Dur_o_diwar pe noor tha harso bahar thi
Benoor hain yeh sare nazare tere bagair
Har din hay soguwaar
Hr ek raat gham ki raat hay
Katte hain raat din teri yadoon k sath sath
Aansu bane hain gham k sitare tere bagair
·
1 Like ·
Aug 18, 2015 at 15:08
Category: general
Advertisement
Poetry / General
Kise Awaaz Doon (Pak Old)
Kisey awaaz doon tere siwaa
Dhundh raha hay tujhay pyaar mera
Khushi ki woh tamana hoon
Tarapti hay jo ahooon main
Najane kab se yeh aankheen
Bichi hain teri rahoon main
Jahan tere qadam hoon ge
Waheen manzil meri ho gi
Waheen ponche ga parwana
Jahan shama jali ho gi
Dhundh raha hay tujhay pyaar mera
Khushi ki woh tamana hoon
Tarapti hay jo ahooon main
Najane kab se yeh aankheen
Bichi hain teri rahoon main
Jahan tere qadam hoon ge
Waheen manzil meri ho gi
Waheen ponche ga parwana
Jahan shama jali ho gi
·
1 Like ·
Aug 18, 2015 at 07:08
Category: general
Poetry / Songs Lyrics
Main Tera Shaher (Pak Old)
Mere azeez tujhe yeh khushi mubarak ho
Nayi bahaar nayi zindagi mubarak ho
Is se pahly k teri chashm e karam
Mazerat ki nigah ban jaye
Pyar dhal jaye mere ashkoon main
Aarzo ek aah ban jaye
Muj pe a jaye ishq ka ilzaam
Aur tu beygunah ban jaye
Main tera shaher chhoor jaon ga
Is se pahly k saadgi teri
Lab_e_khamosh ko gilah kah de
Teri majboriyan na dekh sake
Aur dil tuj ko bewafa kah de
Jane main bekhudi main kiya pouchon
Jane tu beyrukhi se kiya kah de
Main tera shehar chhoor jaon ga
Chhoor kar sahil_e_muraad chala
Ab safina mera kaheen thehre
Zehar pina mera muqadar hay
Aur tere hont dilnashen thehre
Kistara tere aastaan pe rukon
Jab na paoun talay zameen thehre
Main tera shahar chhoor jaoun ga
Muj ko itna zaroor kehna hay
Waqt rukhsat salam se pahly
Toor loon rishta_e_nazar main bhi
Tum utar jaoo baam se pahly
Yeh meri jaan mera wahda hay
Kal kisi waqt shaam se pahly
Main tera shahar chhoor jaoun ga
Nayi bahaar nayi zindagi mubarak ho
Is se pahly k teri chashm e karam
Mazerat ki nigah ban jaye
Pyar dhal jaye mere ashkoon main
Aarzo ek aah ban jaye
Muj pe a jaye ishq ka ilzaam
Aur tu beygunah ban jaye
Main tera shaher chhoor jaon ga
Is se pahly k saadgi teri
Lab_e_khamosh ko gilah kah de
Teri majboriyan na dekh sake
Aur dil tuj ko bewafa kah de
Jane main bekhudi main kiya pouchon
Jane tu beyrukhi se kiya kah de
Main tera shehar chhoor jaon ga
Chhoor kar sahil_e_muraad chala
Ab safina mera kaheen thehre
Zehar pina mera muqadar hay
Aur tere hont dilnashen thehre
Kistara tere aastaan pe rukon
Jab na paoun talay zameen thehre
Main tera shahar chhoor jaoun ga
Muj ko itna zaroor kehna hay
Waqt rukhsat salam se pahly
Toor loon rishta_e_nazar main bhi
Tum utar jaoo baam se pahly
Yeh meri jaan mera wahda hay
Kal kisi waqt shaam se pahly
Main tera shahar chhoor jaoun ga
·
2 Like ·
Aug 17, 2015 at 19:08
Category: songs-lyrics
Poetry / Love
Yeh aalam shoq ka dekha na jaye
Woh but hay ya KHUDA dekha na jaye
Yeh kin nazroon se aaj tu ne dekha
K tera dekhna, dekha na jaye
Hamesha k liye muj se bichar jao
Yeh manzar bar bar dekha na jaye
Yeh mere sath kesi roshni hay
K muj se raasta dekha na jaye
Faraz apne sewa hay koun tera
Tujhe tuj se juda dekha na jaye
Dekha Na Jaye (Pak Old)
Yeh aalam shoq ka dekha na jaye
Woh but hay ya KHUDA dekha na jaye
Yeh kin nazroon se aaj tu ne dekha
K tera dekhna, dekha na jaye
Hamesha k liye muj se bichar jao
Yeh manzar bar bar dekha na jaye
Yeh mere sath kesi roshni hay
K muj se raasta dekha na jaye
Faraz apne sewa hay koun tera
Tujhe tuj se juda dekha na jaye
·
1 Like ·
Aug 15, 2015 at 15:08
Category: love
Poetry / 24
Ashk e rawaan ki nahir hay aur hum hain dosto
Us bewafa ka sheher hay aur ham hain dosto
Yeh ajnabi si manzelen aur raftgan ki yaad
Tanhaiyoon ka zahir hay aur ham hain dosto
Layi hay ab ura k gaye mousmon ki baas
Barkha ki raat ka kahir hay aur ham hain dosto
Phirte hain misl e mouj hawa sheher sheher main
Aawargi ki lahir hay aur ham hain dosto
Sham alam dhali to chali dard ki hawa
Ratoon ka pichla pahir hay aur ham hain dosto
Aankhon main urr rahi hay lute mahfiloon ki dhool
Ebrat saraye dahir hay aur ham hain dosto
Dostoo (Pak Old...By Muner Neaze)
Ashk e rawaan ki nahir hay aur hum hain dosto
Us bewafa ka sheher hay aur ham hain dosto
Yeh ajnabi si manzelen aur raftgan ki yaad
Tanhaiyoon ka zahir hay aur ham hain dosto
Layi hay ab ura k gaye mousmon ki baas
Barkha ki raat ka kahir hay aur ham hain dosto
Phirte hain misl e mouj hawa sheher sheher main
Aawargi ki lahir hay aur ham hain dosto
Sham alam dhali to chali dard ki hawa
Ratoon ka pichla pahir hay aur ham hain dosto
Aankhon main urr rahi hay lute mahfiloon ki dhool
Ebrat saraye dahir hay aur ham hain dosto
·
1 Like ·
Aug 15, 2015 at 05:08
Category: 24
Poetry / 24
Jaan_e_ Aarzu (Pak Old)
Main aarzu_e_jaan likhon ya jaan_e_aarzu
Tu hi bata de naaz se emaan_e_aarzu
Aansu nikal rahe hain tasawar main ban k phool
Shahdaab ho raha hay gulestan_e_aarzu
Emaan o Jaan nisaar teri ek nigah par
Tu jaan_e_ aarzu hay tu emaan_e_aarzu
Hone ko hay talo,Saba_e_ shab wasaal
Bujhe to hain chirag shabestan_e_aarzu
Ek woh k aarzuon pe jete hain umrbhar
Ek ham k hain abhi se pasheymaan_e_ aarzu
Aankhon se joye khun hay rawaan dil hay dagh dagh
Dekhe koy bahaar_e_ gulestaan_e_aarzu
Dil main nishat_e_rafta ki dhundali si yaad hay
Ya shama_e_wesl hay teh daman_e_aarzu
Akhtar ko zindagi ka bharosa naheen raha
Jab se luta chuke sard samaan_e_aarzu
Tu hi bata de naaz se emaan_e_aarzu
Aansu nikal rahe hain tasawar main ban k phool
Shahdaab ho raha hay gulestan_e_aarzu
Emaan o Jaan nisaar teri ek nigah par
Tu jaan_e_ aarzu hay tu emaan_e_aarzu
Hone ko hay talo,Saba_e_ shab wasaal
Bujhe to hain chirag shabestan_e_aarzu
Ek woh k aarzuon pe jete hain umrbhar
Ek ham k hain abhi se pasheymaan_e_ aarzu
Aankhon se joye khun hay rawaan dil hay dagh dagh
Dekhe koy bahaar_e_ gulestaan_e_aarzu
Dil main nishat_e_rafta ki dhundali si yaad hay
Ya shama_e_wesl hay teh daman_e_aarzu
Akhtar ko zindagi ka bharosa naheen raha
Jab se luta chuke sard samaan_e_aarzu
·
1 Like ·
Aug 14, 2015 at 20:08
Category: 24
Poetry / 24
Lagta naheen hay jee mera ujare deyaar main
Kis ki bani hay aalm e napayedaar main
Keh do hasratoon se kaheen aur ja baseen
Itni jagah kahan hay,Dil dagdaar main
umr daraz maang kar laye the chaar din
Do aarzu main kat gaye do intezar main
Kaantoon ko mat nikaal chaman se o bagbaan
Yeh bhi guloon k sath pale hain bahar main
Bulbul se koy shikwa na saiyad se gilah
Kismat main kaid likhi thi fasl e bahar main
Kitna hay badnaseeb zafar dafan k liye
Do gaze zameen bhi na mili koyeyaar main
Kitna Hay Badnseeb (Pak Old)
Lagta naheen hay jee mera ujare deyaar main
Kis ki bani hay aalm e napayedaar main
Keh do hasratoon se kaheen aur ja baseen
Itni jagah kahan hay,Dil dagdaar main
umr daraz maang kar laye the chaar din
Do aarzu main kat gaye do intezar main
Kaantoon ko mat nikaal chaman se o bagbaan
Yeh bhi guloon k sath pale hain bahar main
Bulbul se koy shikwa na saiyad se gilah
Kismat main kaid likhi thi fasl e bahar main
Kitna hay badnaseeb zafar dafan k liye
Do gaze zameen bhi na mili koyeyaar main
·
1 Like ·
Aug 14, 2015 at 13:08
Category: 24
Poetry / General
Sitaroo (Pak Old)
Sitaroo tum to so jao
Pareshan raat sari hay
Sakoon par marg tari hay
Humeen to aaj ki shab
Po phatney tak jagna ho ga
Yehi kismat hamari hay
Tumeen kiya hum agar
Lute gaye rah e mohabbat main
Yeh bazi hum ne hari hay
Humeen bhi nennd aa jayegi
Hum bhi so hi jayeen ge
Abhi kuch bekarari hay
Pareshan raat sari hay
Sakoon par marg tari hay
Humeen to aaj ki shab
Po phatney tak jagna ho ga
Yehi kismat hamari hay
Tumeen kiya hum agar
Lute gaye rah e mohabbat main
Yeh bazi hum ne hari hay
Humeen bhi nennd aa jayegi
Hum bhi so hi jayeen ge
Abhi kuch bekarari hay
·
1 Like ·
Aug 14, 2015 at 06:08
Category: general
Sponored Video